Incredible Collection of Rishi Kapoor Best Dialogues

Best Dialogues of the versatile actor Rishi Kapoor

Har ishq ka ek waqt hota hai … woh hamara waqt nahi tha … par iska yeh matlab nahi ki woh ishq nahi tha
Every love has its own time … that time was not ours … but that doesn’t mean that the love itself wasn’t there
Baadshahat bhaichare ko nahi dekhti
Kingship knows no kinship
Jaane se pehle, ek aakhri baar milna kyun zaroori hota hai?
Before going, why is it necessary to meet one last time?

Yeh mulk toh meri maa hai … aur Mumbai shehar meri mashooka
This country is my mother … and the city of Mumbai is my love

Behisaab power ya beshumar paisa … in dono mein se mujhe ek toh chahiye
Outrageous power or abundant money … I need either one of the two

 

Sangemarmar se tarasha hua ye shaukh badan, itna dilkash hai ki apnane ko jee chahta hai … surkh hooton mein terakhti hai woh rangeen sharaab, jisko pee peekay bahak jaane ko jee chahta hai … naram seene mein dhadakte hai woh nazuk toofan, jinki leharon mein utar jaane ko jee chahta hai … tum se kya rishta hai kab se hai yeh maloom nahi, lekin is husn pe mar jaane ko jee chahta hai … humse behtar hai yeh pazeb joh is paon mein hai, issi pazeb mein dhal jaane ko jee chahta hai … rakhle kal ke liye yeh doosri pazeb-e-dil, kal issi baz mein phir aane ko jee chahta hai

This beautiful body chiseled with marble, is so captivating that I wish I could make it mine … the colorful alcohol that is flowing through your ruby lips, I wish I could drink that and wander … the delicate storms that are beating in your soft heart, I wish I could get down in those waves … I don’t know what relation I have with you and since when, but I wish I could die for your body … the anklet that is your leg is better than me, I wish I could settle in that anklet … oh my heart keep the other anklet for tomorrow, I wish to come tomorrow for the same reason

Trigger kheench … mamla mat kheench … khinch gaya na toh bahut takleef doonga
Pull the trigger … don’t pull the matter … if it gets pulled then I will give you a lot of suffering

Bekhabar soye hai woh loot ke woh neendein meri, jazba-e-dil pe taras khane ko jee chahta hai … kabse khamosh hue ho jaane jahan kuch bolo … kya abhi aur sitam dhane ko jee chahta hai
She has stolen my sleep and she is sleeping calmly, I wish to pity on my heart … oh my love say something, you’ve been quiet for a long time … do you still wish to trouble me more

 

Jab do insaan ek doosre ki rooh ko chhu le … usse pyar kehte hai
When two people touch each others soul … then that is called as love

Jee karta hai … tumhari har khwaish, har ichcha ko apna maqsad bana loon
I feel like … I should make every desire, every wish of yours as my goal

You have bloody piles in your brains
You have bloody piles in your brains

Mohabbat reet rivaaz nahi maanti … aur na hi woh lafzo ki mohtaj hai
Love does not believe in customs and traditions … and neither is it dependent on words

Incredible Collection of Rishi Kapoor Best Dialogues
Share
Incredible Collection of Rishi Kapoor Best Dialogues
Duniya ke sitam yaad, na apni hi wafaa yaad … ab kuch bhi nahi mujhko mohabbat ke sivah yaad
I don’t remember the torture of the world, and neither do I remember my faithfulness … now I remember nothing other than love

Sabhi insaan ek jaise hi toh hote hai … wahi do haath, do paun, aankhen, kaan, chehra … sabke ek jaise hi toh hote hai … phir kyun koi ek, sirf ek aaisa hota hai … joh itna pyara lagne lagta hai … ke agar uski liye jaan bhi deni padhe … toh haste haste di ja sakti hai
Every person is the same … two hands, two legs, eyes, ears, face … everyone has the same … then why is it that there is someone, only one … whom we adore so much … and for whom if we have to give our life … then we can do that laughingly

 

Zinda laane ki zaroorat nahi … murde bhi chalenge
No need to get them alive … dead is also fine

Hum aaj joh faisla karte hai … wahi hamare kal ka faisla karega
The decisions that we take today … decide what our future will be

Nawazish, karm, shukriya, meherbani … mujhe baksh diya aapne zindagani
Kindness, deeds, thanks, courtesy … you have blessed me with a life

Hum Delhi Waale Mulk Ke Saath Saath,

Dil Pe Bhi Hukumat Karna Jaante Hain.

Khaali Fees Bharne Se Papa Ki Duty Khatam Nahi Hoti,

Papa Ki Duty Hoti Hain Bachchon Ki Khushiyaan.

Pyaar Karne Wale Aitbaar Ka Certificate Nahi Mangte.

Pyaar To Woh Rog Hain Jo Aasaani Se Lagta Nahi,

Aur Jab Lag Jaata Hain Na, Phir Kabhi Mitta Nahi.

Har Ishq Ka Ek Waqt Hota Hain.

Woh Humara Waqt Nahi Tha , Par Iska Yeh Matlab Nahi Ki Woh Ishq Nahi Tha.

Thank you